aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun

aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun
raat aae to yahin khwab-e-mukarrar dekhun

ek bechain samundar hai mere jism mein qaid
tut jae jo ye diwar to manzar dekhun

raat gahri hai bahut raaz na degi apna
main to suraj bhi nahin hun ki utar kar dekhun

khud pe kya bit gai itne dinon mein tujh bin
ye bhi himmat nahin ab jhank ke andar dekhun

koi is daur mein elan-e-nabuwat karta
aarzu thi ki khuda-saz payambar dekhun

ek sannata hun patthar ke jigar mein paiwast
main koi but to nahin hun ki nikal kar dekhun

yun nashe se kabhi do chaar tera gham ho ki main
band aankhon se khuli aankh ka manzar dekhun

odh kar khak 'mujibi' sunun dushnam-e-jahan
ye tamasha hi kisi roz miyan kar dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close