aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya

aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya
shoala-e-dil aankh mein aaya to pani ho gaya

dard sine mein utha mathe pe shiknen pad gain
rang chehre ka sada-e-be-zabani ho gaya

teri aankhen aaina hathon mein le kar aa gain
ru-ba-ru ho kar tere main apna sani ho gaya

jab bhadak uttha tha tere qurb se mera badan
nam un hassas lamhon ka jawani ho gaya

kar diya tha main ne jo aawara patton par raqam
raaz wo ruswa hawaon ki zabani ho gaya

ek an-mit raushni tha arsh ki mehrab par
aadmi ke rup mein aa kar main fani ho gaya

jin ke sinon mein dhadakta tha 'muzaffar' mera dil
aaj main un ke liye bhuli kahani ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close