aahaTon se dimagh jalta hai

aahaton se dimagh jalta hai
aaj sikka hawa ka chalta hai

thartharaati hai lau mashiyyat ki
ek mahshar faza mein palta hai

sar uthate hain naqsh panw tale
saya jab aadmi ka dhalta hai

rang chunta hai zehn billor
jism jab dhup se pighalta hai

apne mehwar pe sham tak suraj
kitne hi zawiye badalta hai

kar ke patthar se pash pash hamein
shahr ka shahr hath malta hai

shoala-zan hai gham-e-hayat 'samad'
parbaton se dhuan nikalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close