aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan uf le gai hai mujh ko mohabbat kahan kahan betabi-o-sukun ki huin manzilen tamam bahlaen tujh se chhut ke tabiat kahan kahan furqat ho ya visal wahi iztirab hai tera asar hai ai gham-e-furqat kahan kahan har jumbish-e-nigah mein sad-kaif be-khudi bharti phiregi husn ki niyyat kahan kahan rah-e-talab mein chhod diya dil ka sath bhi phirte liye hue ye musibat kahan kahan dil ke ufaq tak ab to hain parchhaiyan teri le jae ab to dekh ye wahshat kahan kahan ai nargis-e-siyah bata de tere nisar kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahan kahan nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan beganagi par us ki zamane se ehtiraaz dar-parda us ada ki shikayat kahan kahan farq aa gaya tha daur-e-hayat-o-mamat mein aai hai aaj yaad wo surat kahan kahan jaise fana baqa mein bhi koi kami si ho mujh ko padi hai teri zarurat kahan kahan duniya se ai dal itni tabiat bhari na thi tere liye uthai nadamat kahan kahan ab imtiyaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha hoti hai teri chashm-e-inayat kahan kahan har gam par tariq-e-mohabbat mein maut thi is rah mein khule dar-e-rahmat kahan kahan hosh-o-junun bhi ab to bas ek baat hain 'firaq' hoti hai us nazar ki shararat kahan kahan
This is a great bharti name shayari. True lovers of kami si hai shayari will love this. Please share if you liked this!!!