aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein

aai patjhad gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein
kat gae kaise kaise sajile jawan raat bhar mein

tutti pattiyon ki nigahon mein bechaargi hai
rakh si bujh gai panchhiyon ki fughan raat-bhar mein

do-ghadi aur sun meri furqat ke betab nauhe
khatm kaise ho ek umr ki dastan raat-bhar mein

to jo aaya to guzri bahaaren bhi hamrah laya
yaad ke dasht mein khil gae gulsitan raat-bhar mein

us ko pahchan pai na suraj ki pahli kiran bhi
jaise nauras kali ho gai ho jawan raat-bhar mein

laya kya kya guhar soch sagar se sapnon ka manjhi
mil gain kitni khoi hui kashtiyan raat-bhar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close