aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen jab bhi dekhen to hum apne ko akela dekhen mom ke log kadi dhup mein aa baithe hain aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen tab ye ehsas hamein hoga ki ye khwab hai sab band aankhon ko karen khwab ki duniya dekhen baat karte hain to nashtar sa utar jata hai ab wo lahje ki tamazat ka khasara dekhen tu ne nazren na milane ki qasam khai hai aaina samne rakh kar tera chehra dekhen koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere siwa ye bata shahr mein hum tere siwa kya dekhen qatl aur khun ke manazir hain jo basti basti kaise insanon ki duniya ka tamasha dekhen itna virani se rishta hai 'zafar' apna ab khwab ki duniya mein bhi sahra hi sahra dekhen