aaj bhi qafila-e-ishq rawan hai ki jo tha wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha phir tera gham wahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha phir fasana ba-hadis-e-digran hai ki jo tha manzilen gard ke manind udi jati hain wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha zulmat o nur mein kuchh bhi na mohabbat ko mila aaj tak ek dhundalke ka saman hai ki jo tha yun to is daur mein be-kaif si hai bazm-e-hayat ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki jo tha lakh kar jaur-o-sitam lakh kar ehsan-o-karam tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha aaj phir ishq do-alam se juda hota hai aastinon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha jaan de baithe the ek bar hawas wale bhi phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha phir teri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha raat bhar husn par aae bhi gae sau sau rang sham se ishq abhi tak nigaran hai ki jo tha jo bhi kar jaur-o-sitam jo bhi kar ehsan-o-karam tujh pe ai dost wahi wahm-o-guman hai ki jo tha aankh jhapki ki idhar khatm hua roz-e-visal phir bhi is din pe qayamat ka guman hai ki jo tha qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha tira-bakhti nahin jati dil-e-sozan ki 'firaq' shama ke sar pe wahi aaj dhuan hai ki jo tha