aaj jalti hui har shama bujha di jae

aaj jalti hui har shama bujha di jae
gham ki tauqir zara aur badha di jae

kya isi waste sincha tha lahu se apne
jab sanwar jae chaman aag laga di jae

aql ka hukm ki sahil se laga do kashti
dil ka israr ki tufan se lada di jae

dur tak dil mein dikhai nahin deta koi
aise virane mein ab kis ko sada di jae

tabsira baad mein bhi qatl pe ho sakta hai
pahle ye lash to raste se hata di jae

maslahat ab to isi mein nazar aati hai 'ali'
ki hansi aae to ashkon mein baha di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close