aaj-kal be-qarar hain hum bhi

aaj-kal be-qarar hain hum bhi
baith ja chalne haar hain hum bhi

aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain
tohfa-e-rozgar hain hum bhi

mana girya na kar to ai naseh
is mein be-ikhtiyar hain hum bhi

darpai jaan hai qarawul marg
kaso ke to shikar hain hum bhi

nale kariyo samajh ke ai bulbul
bagh mein yak kanar hain hum bhi

muddai ko sharab hum ko zahar
aaqibat dost-dar hain hum bhi

muztarib girya nak hai ye gul
barq abr-e-bahaar hain hum bhi

gar za-khud rafta hain tere nazdik
apne to yaadgar hain hum bhi

'mir' nam ek jawan suna hoga
usi aashiq ke yar hain hum bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close