aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah hath aae na sitare tere aanchal ki tarah hadsa koi to guzra hai yaqinan yaro ek sannata hai mujh mein kisi maqtal ki tarah phir na nikla koi ghar se ki hawa phirti thi sang hathon mein uthae kisi pagal ki tarah tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai main tere pas chala aaunga baadal ki tarah raat jalti hui ek aisi chita hai jis par teri yaaden hain sulagte hue sandal ki tarah main hun ek khwab magar jagti aankhon ka 'amir' aaj bhi log ganwa den na mujhe kal ki tarah