aaj mahsur hain dimak-zada diwaron mein hum bhi shamil the kabhi shahr ke memaron mein aakhirash hath jala hi liye apne hum ne jaane kyun phul nazar aate the angaron mein ye kisi se na kaha lal-o-jawahar the hum pattharon ki tarah bikte rahe bazaron mein der tak dastaken deti rahi qismat dar par aur hum uljhe rahe apne hi pindaron mein zindagi tere adakar the kaise hum bhi samne aate rahe hain kai kirdaron mein waqt hai kar lo marammat abhi ghar ki 'betab' abhi rauzan nahin zahir hue diwaron mein