aankh be-qabu hai duniya ki tarah dil hai pahlu mein tamanna ki tarah koi aawaz koi gunj nahin waqt chup-chap hai sahra ki tarah tu hai ek phailti badhti khushbu main hun ek shoala-e-tanha ki tarah tu meri rah mein kyun hail hai ek umde hue dariya ki tarah mujh ko malum nahin tha ai dost tu bhi begana hai duniya ki tarah dur ufuq-par hai shab pichhle-pahar koi ubhra rukh-e-zeba ki tarah shahr mein chandni ban kar utra chha gaya nashsha-e-sahba ki tarah bas tere rang-e-haya ki manind hu-ba-hu tere sarapa ki tarah ab kahan paunga main naqsh-e-'jamil' dhundhta phirta hun dariya ki tarah