aankh chura kar nikal gae hushyari ki

aankh chura kar nikal gae hushyari ki
samajh gae tum bhi mauqe ki bariki

dariya par safar ki jab tayyari ki
mausam ne har bar badi ghaddari ki

ab lagta hai mud ke dekh to sakta tha
aakhir had bhi hoti hai khuddari ki

bar bar aakash ne ki aatish-bazi
raat manaya hum ne jashn-e-tariki

shayad sirf ujala kar ke bujh jae
shayad niyyat badal jae chingari ki

dhadkan ko laghzish ki chhut nahin bilkul
dil ne itni sakht hidayat jari ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close