aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha

aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha
hae wo shakhs jis ka mujhe intizar tha

mansub umr-e-rafta ye eazaz kam nahin
ek shakhs muntaha-e-gham-e-e'tibar tha

jab ghair ke liye na raha tera lams-e-ghair
phir tera intizar bhi aankhon pe bar tha

tarikiyan nasib thin isyan-e-zist ko
raushan jo tha wo meri wafa ka hisar tha

pahle-pahal jo rabt tha jannat sa apne beach
phir ye khula wo ishq na tha kar-zar tha

phir yun hua ki us ne bhula hi diya mujhe
karta bhi kya gila main use ikhtiyar tha

'afaq' wo juda bhi hua tha to zoam se
phir us ko yaad karna bhi ek shahkar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close