aankhen gham-e-firaq se hain tar idhar-udhar

aankhen gham-e-firaq se hain tar idhar-udhar
gham ka asar hai aaj barabar idhar-udhar

the jo wafa-shiar wo nazr-e-sitam hue
ab kis ko dhundhta hai sitamgar idhar-udhar

mahfil mein tere husn pe qurban hoga kaun
diwane chal diye jo nikal kar idhar-udhar

saqi ke sath raunaq-e-mai-khana bhi gai
tute pade hain shisha-o-saghar idhar-udhar

aisa na ho zamana hanse tum par ek din
likkho na mere haal pe hans kar idhar-udhar

dil mein kabhi hai dard jigar mein kabhi khalish
jaise chhupe hon sine mein nashtar idhar-udhar

apni ghazal sunao 'shamim' ahl-e-zauq ko
zaea karo na fikr ke jauhar idhar-udhar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close