aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya main raushni ko dekh ke hairan ho gaya tujh se mushabahat nahin rakhta koi yahan ab tujh ko bhulna bhi to aasan ho gaya us ne kaha ki phul se titli udaiye itni si baat par main pareshan ho gaya main khud se mil gaya tha teri bazyaft mein kya mujh pe tere hijr ka ehsan ho gaya mere tamam khwab mere dil mein rah gae meri to sari umr ka nuqsan ho gaya