aankhen raushan lahje ras ke pyale ji

aankhen raushan lahje ras ke pyale ji
ye hain log mohabbat karne wale ji

kisi kisi ka husn nashila hota hai
kuchh shair bhi hote hain matwale ji

lamha lamha jakda jata hun in mein
yaaden hain ya hain makdi ke jale ji

us ki aankh se aansu ban kar bah nikle
mere panw mein padne wale chhaale ji

raaton ka ahwal kahan chhup sakta hai
sab kah dete hain aankhon ke haale ji

main ne hans kar tal diya go logon ne
aap ke nam ke patthar khub uchhaale ji

gangu teli aas lagae baitha hai
jae raja bhoj to raj sambhaale ji

aap ne ghola zahar fazaon mein lekin
hum ne phul ugae bute pale ji

jang ki baaten karne walo yaad rahe
bachte hain bas aahen aansu nale ji

aag ugalte sanp ka shikwa beja hai
main ne to bas apne phul sambhaale ji

bap ki aankh se mere aansu tapke the
bas us din se honton par hain tale ji


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close