aankhen zamin aur falak dastkar hain

aankhen zamin aur falak dastkar hain
pani ke jitne rup hain sab mustaar hain

khud ko akela jaan ke tanha na jaanna
ye aaine nahin hain tere pahre-dar hain

mushkil ki is ghadi mein karun kis se mashwara
kuchh dost hain to wo bhi fasana-nigar hain

ye chhanw jaisi dhup hamara mizaj hai
hum log aaftab hain aur saya-dar hain

'arish' jo mere sar pe nahin ho sake sawar
wo sare log meri kamar par sawar hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close