aankhon mein haya aa jati hai honTon pe tabassum late hain

aankhon mein haya aa jati hai honton pe tabassum late hain
wo mujh pe sitam jab karte hain taswir-e-karam ban jate hain

ab aap inayat karne ki taklif hi kyun farmate hain
din yun bhi guzarne hi thahre din yun bhi guzar hi jate hain

allah re khas-o-khashak se ye hans hans ke chatanon ka kahna
wo tufan ko kya samjhenge jo tufan mein bah jate hain

ek samt musalsal ummiden ek samt musalsal mahrumi
kab tak ye uthe bar-e-hasti shane hain ki tute jate hain

ab aisi karam ki baaton se dabti hain kahin dil ki choten
tum jitna mitate jate ho ye naqsh ubharte aate hain

is daur-e-pareshani mein kabhi wo waqt bhi aata hai 'ali'
kuchh dil bhi dhoke khata hai kuchh wo bhi karam farmate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close