aankhon mein jo samae na manzar lapeT de

aankhon mein jo samae na manzar lapet de
ya meri fikr mein koi mahshar lapet de

un ki nigah-e-mast ka dil mein surur hai
saqi se kah do baada-o-saghar lapet de

duniya ko yun khabar to ho aalam-e-zist ki
kanton ke sath aaj gul-e-tar lapet de

hun mahw-e-khwab un ke tasawwur ki god mein
ai waqt apne dard ka bistar lapet de

hota guman hai dekh ke be-tabi-e-nazar
qatre mein jaise koi samundar lapet de

ab hum karenge quwwat-e-bazu se faisla
munsif tu apne adl ka daftar lapet de

sahra se jab palatne ka imkan hi nahin
hangam-e-rozgar mera ghar lapet de

aagah rah yun sarw-o-sanobar na ban ke ji
aisa na ho ki koi tera sar lapet de

bar-e-ilah kar de ata azm-e-haidari
ya phir samajh ke harf-e-mukarrar lapet de

sayyaad main jo haar gaya hausle ki jang
phir khud kahunga tujh se mere par lapet de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close