aankhon par palkon ka bojh nahin hota dard ka rishta apni aan nahin khota basti ke hassas dilon ko chubhta hai sannata jab sari raat nahin hota man-nagri mein dhum-dhadakka rahta hai mera main jab mere sath nahin hota ban jate hain lamhe bhi kitne sangin waqt kabhi jab apna bojh nahin dhota rishte nate tute phute lage hain jab bhi apna saya sath nahin hota dil ko 'hanif' udhaar nahin milta jab tak aankhon ka pathrila dard nahin rota