aankhon se teri zulf ka saya nahin jata

aankhon se teri zulf ka saya nahin jata
aaram jo dekha hai bhulaya nahin jata

allah-re nadan jawani ki umangen!
jaise koi bazar sajaya nahin jata

aankhon se pilate raho saghar mein na dalo
ab hum se koi jam uthaya nahin jata

bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi
lekin koi ruthe to manaya nahin jata

jis tar ko chheden wahi fariyaad-ba-lab hai
ab hum se 'adam' saz bajaya nahin jata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close