aao phir garmi dayar-e-ishq mein paida karen

aao phir garmi dayar-e-ishq mein paida karen
tur ki mitti se takhliq-e-yad-e-baiza karen

husn mein ho ishq ki bu ishq mein ho rang-e-husn
phir murattab rang-o-bu-e-nau se ek duniya karen

jitne naghme ho chuke hain gum faza-e-dahr mein
un ko phir aawaz den ek saz mein yakja karen

mil chuke hain khak mein jo tut kar phulon ke jam
un ko dast-e-shakh mein phir saghar-o-mina karen

zindagi do din ki us par ye jahan-ijadiyan
ehtimam itna karen 'simab' aur phir kya karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close