aap ki aankh agar aaj gulabi hogi

aap ki aankh agar aaj gulabi hogi
meri sarkar badi sakht kharabi hogi

mohtasib ne hi padha hoga maqala pahle
meri taqrir ba-har-haal jawabi hogi

aankh uthane se bhi pahle hi wo honge ghaeb
kya khabar thi ki unhen itni shitabi hogi

har mohabbat ko samajhta hai wo nowel ka waraq
us pari-zad ki talim kitabi hogi

shaikh-ji hum to jahannam ke parinde thahre
aap ke pas to firdaus ki chabi hogi

kar diya musa ko jis chiz ne behosh 'adam'
be-naqabi nahin wo nim-hijabi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close