aap ki bas ye nishani rah gai

aap ki bas ye nishani rah gai
uljhanon mein zindagani rah gai

jhut aaya samne sach ki tarah
dur roti haq-bayani rah gai

jis ke do kirdar the tum aur main
yaad mujh ko wo kahani rah gai

jis ka kah dena zaruri tha bahut
baat wo tum ko batani rah gai

khak mein lipta hua bachpan gaya
karb mein lipti jawani rah gai

umr guzri hai ghulamon ki tarah
nam ki wo sirf rani rah gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close