aap ki nazar-e-inayat ho gai

aap ki nazar-e-inayat ho gai
zindagi marhun-e-minnat ho gai

mil gae do dil mohabbat ho gai
baat bas itni qayamat ho gai

kyon fuzun-tar aaj wahshat ho gai
kya kisi manzil se qurbat ho gai

aap hum par multafit kya ho gae
hum se duniya ko adawat ho gai

ho gae kya kya fasane sar-buland
sar-nigun sari haqiqat ho gai

aap ne gham de diya kya kam diya
chaar din jine ki surat ho gai

nam un ka jab zaban par aa gaya
yun bhi goya ek ibaadat ho gai

ho gai jab bhi jahaalat muqtadir
dar-ba-dar 'amir' farasat ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close