aap ki sangat ka ye andaz man ko bha gaya gardish-e-dauran mein hum ko muskurana aa gaya tut kar barsa jo baadal ghup andhera chha gaya tha ujala din ka lekin raushni ko kha gaya qatilon ne jism mera reza reza kar diya khun bikhra rang ban kar wadiyan chamka gaya aag se to bach gaya main maut aani thi magar bachte bachte phir bhi main pani se dhoka kha gaya hum mohabbat mein shikasta-pa hue to gham nahin rafta-rafta dosto tum ko to chalna aa gaya