aapko bhul ke main yaad-e-KHuda karta hun

aap ko bhul ke main yaad-e-khuda karta hun
khud ana kahta hun maujud baqa karta hun

kufr-o-islam ka mujid hua banda ho kar
phir wo main kaun hun jo khud hun kaha karta hun

ilm-e-adad se hota hai hijab-e-akbar
ek har haal mein hun kul mein raha karta hun

hun basarat mein nihan uzr hai binai ka
roz-e-raushan mein hi khud aap raha karta hun

be-samajh nam khuda ka wo liya karte hain
puchhta hun to ye kahte hain suna karta hun

jism-e-khaki na samajh yar ka bas jalwa hai
yaad aur bhul se main dil ko ziya karta hun

main samajhta hun khuda aap ko banda ban kar
han isi shan ka 'markaz' hun kaha karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close