aapko mujhse KHafa mujhse KHafa dekhta hun

aap ko mujh se khafa mujh se khafa dekhta hun
phutti kyun nahin aankhen meri kya dekhta hun

roz is ruh ki viraniyan khil uthti hain
roz is dasht mein ek aabla-pa dekhta hun

gul khilate hain naya roz ye rishte-nate
roz hi khun ka ek rang naya dekhta hun

ek sach ye hai jo duniya ko baratne pe khula
ek sach wo jo kitabon mein likha dekhta hun

aap hain sab se jo az-rah-e-zarurat hi mile
aur main aap mein bhi khu-e-wafa dekhta hun

aankh bhar kar main jise dekh na paya tha 'nadim'
khud ko us khwab ke malbe mein daba dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close