aap ko mujh se mohabbat bhi nahin aur nahin kahne ki jurat bhi nahin jate hain mahfil se meri jaiye rokna kuchh meri fitrat bhi nahin munhasir jis pe ho meri zindagi tu ne ki aisi mohabbat bhi nahin bewafa ki ham-rahi se faeda? aur ab chalne ki himmat bhi nahin jo kabhi diwar pe latkai thi ab tere kamre ki zinat bhi nahin main kisi ko chhod dun tere liye tujh se kuchh aisi to qurbat bhi nahin 'khushtar' is mehndi lage hathon ki ab jaane kyun pahli si rangat bhi nahin