aarzu aabaad hai bikhre khanDar ke aas pas

aarzu aabaad hai bikhre khandar ke aas pas
dard ki dahliz par gard-e-safar ke aas pas

khar ki har nok ko majruh kar dene ke baad
laut jaana hai mujhe barg-o-samar ke aas pas

didani hain chahaton ki narm-o-nazuk laghzishen
gardish-e-ayyam mein sham-o-sahar ke aas pas

dur ek khamosh basti ki gali mein dekhna
hai tamanna mutmain makhdush ghar ke aas pas

chha gai tufan ke honton pe shaitani hansi
dekh kar kashti shikasta si bhanwar ke aas pas

jab koi raushan nishan milta nahin hai dhund mein
dhundhta hun naqsh-e-pa rah-e-guzar ke aas pas

phul patton ki faza se saj gai duniya mari
hai kahan arman mera lal-o-guhar ke aas pas

be-niyazi waqt se mujh mein na qaem ho saki
main sada hazir raha taza khabar ke aas pas

kucha-e-dildar ka rangin zamana 'sahni'
aaj bhi aabaad hai zakhm-e-jigar ke aas pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close