aashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab

aashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab
mustahiq dar ke phansi ke saza-war hain sab

pas atibba ko hai mayus parastar hain sab
tere bimar-e-mohabbat ke bad-asar hain sab

dil-dahi ke bhi nahin tarz se waqif asla
ye hasinan-e-jahan nam ko dildar hain sab

ab ye surat hai mohabbat mein tumhaari ai jaan
apne begane meri shakl se bezar hain sab

zulm-e-sayyaad saha jae yakayak kyunkar
hum asiran-e-qafas taza giraftar hain sab

husn yakta-e-do-alam hai tera hi ai dost
teri wahdat ke muqir kafir-o-din-dar hain sab

ek bhi baat na dil le ke nibahenge huzur
ye zabani hi faqat aap ke iqrar hain sab

be-zabani se hain majbur nahin sun lete
qail is aabla-pai ke mere khar hain sab

na pado fikr-e-dahan-o-kamar-e-yar mein tum
koi waqif nahin ye ghaib ke asrar hain sab

us mein taus-e-chaman ko hui ya kabk-e-dari
ai pari-zad tere kushta-e-raftar hain sab

barish-e-girya ke hai sath hawa aankhon ki
khana-e-dil ki kharabi ke ye aasar hain sab

qais-o-farhad ko sauda tha tera ishq na tha
tere diwana-e-jaan-bakhta hoshiyar hain sab

yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn
wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab

un buton se nahin ummid khuda-tarsi ki
rahm dil un mein nahin ek sitamgar hain sab

baat kis tarah dam-e-shikwa ho sarsabz apni
ek apna nahin wan un ke taraf-dar hain sab

kuchh unhen qadr nahin naqd-e-dil-e-ashiq ki
hasinan-e-jahan zar ke talabgar hain sab

kis tawaqqo pe koi bagh-o-makan banwae
qabr mein ek na kaam aaega bekar hain sab

un dil-awaron ke altaf par ai dil tu na bhul
ranj kal denge yahi aaj jo gham-khwar hain sab

fikr-e-iza mein meri kuchh nahin tanha wahi shokh
naz-o-andaz-o-ada aur pae aazar hain sab

chida mashuqon ke ausaf kiye hain mauzun
muntakhab karne ke qabil mere ashaar hain sab

tujh sa khush-waza khush-andaz na dekha ab tak
yun to mashuq zamane ke tarah-dar hain sab

bhule hain gardish-e-mina-e-falak ka nairang
ahl-e-zar jitne hain mast-e-mai-e-pindar hain sab

dosti kar ke 'qalaq' un se bahut pachhtata
dushman-e-jaan mere khuban-e-jafa-kar hain sab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close