aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek

aashiq-e-sokhta-dil khatt-e-sanam donon ek
jis tarah suniye juda shadi-o-gham donon ek

donon baatin mein agar ek hain lekin koi
aab-o-atish nahin rakhta hai baham donon ek

hai juda sajde ki ja hindu musalman ki magar
fahm walon ke tain dair-o-haram donon ek

kuhl karte hain hum aankhon mein barabar dono
surma-e-kor ko aur khak-e-qadam donon ek

jab phansa zulf mein ja dil na raha nang-o-haya
taq par rakhiye wahan nang-o-sharam donon ek

bar-e-gham hijr pada sar pe kisi ke us dam
khak mein dije mila aql-o-faham donon ek

ewaz-e-hijr na lun aish tamam aalam ka
hai azal se mujhe farman-e-hakam donon ek

dil mein arman na raha baqi jo chaha so kiya
sair duniya ki bhi aur sair-e-adam donon ek

yar aaghosh mein apne hai muhayya har-dam
bas hai ye mere tain jah-o-hasham donon ek

aarzu 'qasim-ali' dil mein nahin kuchh lekin
chahiye apne tain fazl-o-karam donon ek


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close