aashiq jo is gali ka bhi mar kar chala gaya

aashiq jo is gali ka bhi mar kar chala gaya
duniya se ek aur qalandar chala gaya

ghurbat ka apne haal tujhe aur kya kahun
ek din to ek faqir bhi uth kar chala gaya

firaun apne daur ka zinda hai aaj bhi
duniya samajh rahi thi sitamgar chala gaya

chaqu pe hai nishan kisi be-gunah ka
qatil to hath mein liye khanjar chala gaya

wo tinka jod kar ke nasheman jo tha bana
basti ki aag mein wo mera ghar chala gaya

ummid kar chuka tha nae sal se bahut
ek aur zakhm de ke december chala gaya

laila se jo mila tha wo patthar liye hue
'jaanbaz' apne shahr se bahar chala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close