aashiqi mein hai jaan ka khatka aur bhi kuchh bura bhala khatka yar sayyaad baghban ka hua ye naya aur ek bandha khatka kan aahat ki rah se na hate dil mein tha kis ke aane ka khatka wahi kawish mizha ne ki aakhir jis ka awwal se dil mein tha khatka bulbul-e-pak-bin hai aashiq-e-gul baghban tu na khatkhata khatka be tere yar sair-e-gulshan mein phul aankhon mein khar sa khatka tujh ko dekha utha utha kar sar sans ka bhi agar hua khatka ishq ke hain 'waqar' chaar unsur khauf andesha-o-dagha khatka