aashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke sath

aashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke sath
lab ko nisbat hai mere zamzama-e-dad ke sath

bas ki hai chashm-e-murawwat se bhara girya-zar
pada phirta hai mere nala-o-fariyaad ke sath

yaad us lutf-e-huzuri ka karen kya hasil
aa pada kaam faqat ab to teri yaad ke sath

zulm hai haq mein hamare tera ab tark-e-sitam
dil ko hai uns sa ek us teri bedad ke sath

zulf o kakul se qawi husn ka bazu hai mudam
qafas o dam rahe jaise ki sayyaad ke sath

khun-e-nahaq raha parwez ki gardan pe wale
lutf-e-shirin ne sitam ye kiya farhad ke sath

rasti se bhala itna bhi guzarna kya hai
nisbat is qad ko na do sarw ke shamshad ke sath

dast o pa kar ke main gum nikla dabe-panw kya
mila wo tifl mujhe raat jo ustad ke sath

'hasrat' itna jo tu mail hai giraftari ka
kuchh adawat hai tujhe khatir-e-azad ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close