aasman aatish-e-zulmat mein jal jae to khanda-e-subh ki taswir badal jae to ab to aaram qayamat pe hua hai mauquf aur ye aakhiri ummid bhi tal jae to aks aaine mein aur aks mein rup us ka hai kabhi ye aaina aankhon se badal jae to ye jo dam sadh ke baithe hain use dekhne ko pattharon ki bhi kahin aah nikal jae to hum se aawara-e-ghurbat se mohabbat na karo kya ho jo ret ye mutthi se nikal jae to