aasudgan-e-hijr se milne ki chah mein

aasudgan-e-hijr se milne ki chah mein
koi faqir baitha hai sahra ki rah mein

phir yun hua ki shauq se kholi na main ne aankh
ek khwab aa gaya tha meri khwab-gah mein

is bar kitni der yahan hun khabar nahin
aa to gaya hun phir se teri bargah mein

phir kar-e-zindagi ne mujhe chhodna nahin
kuchh din yahin guzar lun apni panah mein

yaron ne aa ke jaan bachai meri ki main
khud se ulajh pada tha yunhi khwah-makhwah main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close