aatash o injimad hai mujh mein

aatash o injimad hai mujh mein
kaisa kaisa tazad hai mujh mein

khwab se pahle kuchh nahin yaksar
jo bhi hai us ke baad hai mujh mein

zakhm khulte hain sans ghutti hai
aisi bast-o-kushad hai mujh mein

ranj-e-dil hai hara bhara ab tak
koi to hai jo shad hai mujh mein

dushmani ka hi rah gaya sarokar
warna kis ka mafad hai mujh mein

koi is ka sabab nahin tu hi
ye jo itna fasad hai mujh mein

koi jalsa hai zor ka jaise
jis ka ye iniqad hai mujh mein

jise ab tak talash karta hun
gum-shuda ek yaad hai mujh mein

aandhiyan si jo chal rahi hain 'zafar'
surat-e-khak-o-baad hai mujh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close