aazadi ka manzar achchha lagta hai

aazadi ka manzar achchha lagta hai
shish mahal se chhappar achchha lagta hai

taj amir-e-shahr mubarak ho tujh ko
diwanon ko patthar achchha lagta hai

bachpan kab ka bit chuka phir bhi mujh ko
man ke hath ka bistar achchha lagta hai

mere lahu ko pani ki ab chah kahan
khushk gale par khanjar achchha lagta hai

teri yaad ka chand nikalta hai jis dam
mujh ko akele shab bhar achchha lagta hai

apnon mein tanhai ka ab ehsas na puchh
ghar walon se be-ghar achchha lagta hai

kaun hai kis pe nazr karen hum sar apna
hum ko tera sang-e-dar achchha lagta hai

apni zat ke andar kab tak qaid rahun
mujh ko khud se bahar achchha lagta hai

man ke hath ke bhat ke lazzat mat puchho
sath mein us ke kankar achchha lagta hai

himmat hai to dushman se bhi pyar karo
yun to sab ko dilbar achchha lagta hai

jab bhi namaz-e-fazr ada kar lete hain
qasam khuda ki din bhar achchha lagta hai

warna pyas hi dil ko bahlati hai 'halim'
tere nam ka saghar achchha lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close