aazar raha hai tesha mere KHandan mein

'azar' raha hai tesha mere khandan mein
paikar dikhai dete hain mujh ko chatan mein

sab apne apne taq mein tharra ke rah gae
kuchh to kaha hawa ne charaghon ke kan mein

main apni justuju mein yahan tak pahunch gaya
ab aaina hi rah gaya hai darmiyan mein

manzar bhatak rahe the dar-o-baam ke qarib
main so raha tha khwab ke pichhle makan mein

lazzat mili hai mujh ko aziyyat mein is liye
ehsas khinchna tha badan ki kaman mein

nikli nahin hai dil se mere bad-dua kabhi
rakkhe khuda adu ko bhi apni aman mein

'azar' usi ko log na kahte hon aaftab
ek dagh sa chamakta hai jo aasman mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close