ab apne darmiyan shishe ki ek diwar baqi hai

ab apne darmiyan shishe ki ek diwar baqi hai
mere dukh aur tera na-mo'tabar kirdar baqi hai

idhar dinar-o-dirham aur udhar tera phata daman
mere yusuf tujhi se garmi-e-bazar baqi hai

hamare sar qalam hote hain hum bai'at nahin karte
ki hum logon mein ab bhi jurat-e-inkar baqi hai

badalte waqt ne sab kuchh badal dala magar khush hun
mera lahja wahi hai aur mera mear baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close