ab apne dida-o-dil ka bhi etibar nahin

ab apne dida-o-dil ka bhi e'tibar nahin
usi ko pyar kiya jis ke dil mein pyar nahin

nahin ki mujh ko tabiat pe ikhtiyar nahin
har ek jam se pi lun wo baada-khwar nahin

har ek gam pe kanton ki hain kamin-gahen
shabab aah shagufon ki rahguzar nahin

bhari hui hai wo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zist
ki lab pe jam-e-mohabbat bhi khush-gawar nahin

na mere ashkon se daman pe tere aaegi aanch
ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharar nahin

kahin chhupae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham
wo gham hi kya jo masarrat se aashkar nahin

main teri yaad se bahka chuka hun yun dil ko
ki ab mujhe teri furqat bhi nagawar nahin

mere sukun ke liye kyun ye koshish-e-paiham
qarar chhinne wale tujhe qarar nahin

jahan-e-aql ke nafrat-kadon mein bat jata
hazar shukr mohabbat pe ikhtiyar nahin

kisi ki lut ke rahat khushi nahin milti
khizan ke hath mein sarmaya-e-bahaar nahin

nigah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin
wo raaz jis ka abhi dil bhi raazdar nahin

tawajja-e-nigah-e-yar ka sabab malum
dil-e-girafta-e-'mulla' abhi shikar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close