ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla bab-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindan nikla itna nazdik mere tu bhi kabhi aa na saka jitna nazdik mere ye gham-e-dauran nikla un ki mahfil se main le aaya tamanna un ki log samjhe the ki main be-sar-o-saman nikla ruk ke ek ashk ne kya kya na jalaya hum ko dil ka suraj bhi charagh-e-tah-e-daman nikla hum ne dekha to koi ishq ka talib hi na tha hum ne puchha to har ek sahab-e-iman nikla jab bhi malum kiya apni tabahi ka sabab apne hathon mein khud apna hi gareban nikla khud-numai bhi ajab zulm hai 'nuri' mujh par hae wo waqt ki main khud se gurezan nikla