jo ab jahan-e-barhana ka istiara hua main zindagi tera ek pairahan utara hua siyah-khun tapakta hai lamhe lamhe se na jaane raat pe shab-khun hai kis ne mara hua jakad ke sanson mein tashhir ho rahi hai meri main ek qaid sipahi hun jang haara hua phir is ke baad wo aansu utar gaya dil mein zara si der ko aankhon mein ek sharara hua khuda ka shukr meri tishnagi palat aai chali gai thi samundar ka jab ishaara hua amir imam mubarak ho fath-e-ishq tumhein ye dard-e-mal-e-ghanimat hai sab tumhaara hua