ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain

ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain
har taraf apne kharidar nazar aate hain

wo hamein makhzan-e-asrar nazar aate hain
hum unhen aashiq-e-bezar nazar aate hain

hum ko mai-khwar hi mai-khwar nazar aate hain
sab mai-e-ishq se sarshaar nazar aate hain

bad-zani zulm-o-sitam hajw-e-sanam ruswai
ishq mein to bade aazar nazar aate hain

sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain
aap hum ko bade hoshyar nazar aate hain

khatm mujh par hi nahin ishq masiha mere
mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain

ab jo ruswai pe meri unhen dard aaya hai
baryabi ke kuchh aasar nazar aate hain

dasht-paimai se jab aabla-pa sota hun
khwab mein aap guhar-bar nazar aate hain

ek wo hain ki zamane mein hai shohra jin ka
ek hum mulk pe jo bar nazar aate hain

kude-karkat ka milega na wilayat mein nishan
hind mein har taraf ambar nazar aate hain

kis se shikwa karun 'rahbar' ki sabhi ab to mujhe
mere dilbar ke talabgar nazar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close