ab kisi taswir ki ranaiyan baaten karen

ab kisi taswir ki ranaiyan baaten karen
main to chup hun ab meri tanhaiyan baaten karen

itni diwaron mein ek diwar hi samjha mujhe
aa ke mere sae mein parchhaiyan baaten karen

rokna bhi narawa hai tokna bhi nagawar
kan tab hote hain jab ruswaiyan baaten karen

khud-kalami ka fusun tanhaiyon ki guftugu
is se to behtar hai jab parchhaiyan baaten karen

qafile ki to samaat aur zaban tak lut gai
hindison ke dasht mein purwaiyan baaten karen

ye dar-o-diwar ye chhat jo kabhi girti nahin
mere uthne tak yahi pahnaiyan baaten karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close