ab mujhko kya KHabar wo yahan hai bhi ya nahin

ab mujh ko kya khabar wo yahan hai bhi ya nahin
har ek se shahr mein to mera rabta nahin

jannat bana to sakte hain is kaenat ko
lekin meri tarah se koi sochta nahin

jis rahguzar pe phul saje hain mere liye
ai pa-e-shauq ab wo mera rasta nahin

zahir se mutmain hai mere aur ek naqab
chehre pe jo pada hai use dekhta nahin

jab tak thi dil mein sans bhi khushbu bani rahi
honton pe aa ke baat mein ab kuchh raha nahin

ek waqt tha ki rah guzarna muhaal tha
ab mud ke raste mein koi dekhta nahin

ab sham ho gai hai mujhe sona chahiye
suraj tere khayal ka garche dhala nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close