ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega

ab sarguzisht-e-hijr sunane bhi aaega
jo ruth kar gaya hai manane bhi aaega

ban jaengi qarar yahi be-qarariyan
gham de gaya hai jo wo mitane bhi aaega

rakkhega rakhne wala meri be-kasi ki laj
lutf-o-karam ki shan dikhane bhi aaega

sunta nahin jo ab mera ahwal waqai
ek roz le kar apne fasane bhi aaega

aatash-bajaan hain khabar se be-fikr-o-mutmain
jis ne lagai hai wo bujhane bhi aaega

us ko khulus-e-dil ki kashish khinch laegi
aaega to wo aane bahane bhi aaega

ru-posh ho sakengi kahan khud-numaiyan
aaina-ru jamal dikhane bhi aaega

nikhregi ye faza-e-mukaddar bhi ai 'rishi'
mahaul ka mizaj thikane bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close