ab tak isi KHayal mein uljha hua hun main

ab tak isi khayal mein uljha hua hun main
apne badal gae hain ki badla hua hun main

diwar-o-dar ko dekh ke lagta hai dilbara
teri gali se pahle bhi guzra hua hun main

bikhre hue se baal hain daman hai tar tar
puri tarah se hijr mein sanwara hua hun main

shayad ki ek roz wo aa kar samet le
muddat se ku-e-yar mein bikhra hua hun main

baada-kashi ke baad to aaya hun hosh mein
duniya samajh rahi hai ki bahka hua hun main

ya-rab ye zindagani mein kaisa jumud hai
thahra hua hai waqt ya thahra hua hun main

aaya hun apne shahr to lagta hai yun 'zaki'
jaise ki ek dasht mein bhatka hua hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close